Thursday, March 5, 2015

DARD / PAIN

bikheri thi kushiya chandi raat mai
logo ka khafila sa aa gaya,
par subha dard ki barish mai
keval mai akela khada reh gaya,
 
khuli kitab thi jindagi meri,
mere hi ek-ek panno ko noch kar,
kachere ki aag mai jala diya,
par dard ka namo-nishan kahi dikhne na diya,
dil ke tukde kar,
usko aarmon ki aag mai bhun diya,
hatho mai jal ke chaale padh gaye,
lekin dhuya ek ka bhi maine dikhne na diya.

kholi aankhen par dikhe na,
chali saanse par dhadkan na,
cheekhta mai par koi sune na
ladkhada-ta mai par koi sahara na,


aisi meri jindagi, aisa mera dard.............


-by ankit suniyal (date-5th march 2015)

No comments:

Post a Comment